Urdu has a magical charm to it that no other language offers. And people are drawn to this poetic language for its aesthetic sensibilities and unparalleled sophistication. Among the great Urdu poets that we have, Wasim Barelvi is a renowned name. His poetry is replete with love and passion and makes one come to terms with the estrangement and loneliness that comes with heartbreak.
āsmāñ itnī bulandī pe jo itrātā hai
bhuul jaatā hai zamīñ se hī Nazar aatā hai
aise rishte kā bharam rakhnā koī khel nahīñ
terā honā bhī nahīñ aur tirā kahlānā bhī
apne chehre se jo zāhir hai chhupā.eñ kaise
terī marzī ke mutābiq Nazar aa.eñ kaise
apnī is aadat pe hī ik roz maare jā.eñge
koī dar khole na khole ham pukāre jā.eñge
bahut se ḳhvāb dekhoge to āñkheñ
tumhārā saath denā chhoḌ deñgī
bhare makāñ kā bhī apnā Nasha hai kyā Jaane
sharāb-ḳhāne meñ rāteñ guzārne vaalā
charāġh ghar kā ho mahfil kā ho ki mandir kā
havā ke paas koī maslahat nahīñ hotī
dukh apnā agar ham ko batānā nahīñ aatā
achchhā hai mere haal kī un ko ḳhabar nahī
ham ye to nahīñ kahte ki ham tujh se baḌe haiñ
lekin ye bahut hai ki tire saath khaḌe haiñ
Also Read
Video: Watch the different versions of a mother
According To Vastu, The 'Right' Direction For Planting A Money Plant
Turmeric The Magic Herb According To Vedic Astrology