Best 2 Line Shayari's Of 'Ahmad Faraz'
Best 2 Line Shayari's Of 'Ahmad Faraz'
Share:

Ahmad Faraz being born on Jan 12 - 1931 in Kohat,  is one most popular Urdu poets in our history. His real name was Syed Ahmad Shah and he used "faraz' as his pen name. During his progressive years as a poet, he considered Faiz Ahmad Faiz as his role model. Beside being a poet, Ahmad Faraz was also a lecturer.

Ahmad Faraz Shayari has been translated into languages like English, Spanish, Russian and french. He says that he only writes when he is formed to write from inside.


Kuchh Muhabbat Ka Nasha Tha Pehlay Hum Ko Faraz,

Dill Jo Tota To Nashey Se Mohabbat Ho Gai ...!


Woh rooz dekhtey hai dubtay hua Suraj ko Faraz,

Kaash main Bhi Kisi Shaam ka manzar hota ...!


Shayad khushii ka daur bhi aa jaaye ek din Faraz,

Gham bhi to mil gaye thay tamanna kiye baghair ...!


Ab maayoos qyo ho us ki bewafaii pe Faraz?

Tum khud hi to kehtay thay ki wo sab se juda hai ...!


Kisi ki Kya majaal thi jo koi Hum ko khareed Sakta",,,

Hum to khud hi Bikk gaye kharidaar dekh kay ...!


Is Dafaa Barishain Rukti Hi Nahe Faraz,

Hum Ne Aansu Kya Piye Sara Mausam Ro Para ...!     


Mere lafzoon ki pehchaan agar kar leta wo Faraz,

Usay mujse nahi khud se muhabbat ho jati ...!


In Barishoon Se Doosti acchi nahi Faraz,

Kaccha Tera Maqaan Hai Kucch To Khayal Kar ...!


Kaun deta hai umar bhar a sahara aye Faraz,

Log to Janaazay main bhi kandhay badaltay rahtay hain ...!


Sochaa tha ki woh bohat toot kar chahay ga humey Faraz,

Lekin chaha bhi hum ne aur tootey bhi hum ...!


 Yaheey soch kar us ki har baat ko sach mana hai Faraz,

Ki itnay khubsoorat Lub jhoot kaisay bolain gay ...!


Merey jazbaat se waqif hai mera qalam Faraz,

Main pyar likhon to tera naam likh jata hai ...!


Also Read:

Quotes By Top Gear’s Jeremy Clarkson

8 Well Known Quotes of 'Paul Robeson'

Motivational Quotes By Multi-talented Personality - Priya Kumar

 

 

Join NewsTrack Whatsapp group
Related News